phir aaj dard se raushan huā hai sīna-e-ḳhvāb
sajā huā hai mire zaḳhm se madīna-e-ḳhvāb
ḳhizāñ kī fasl meñ jo rizq-e-vahshat-e-shab thā
luTā rahā huuñ sar-e-shab vahī ḳhazīna-e-ḳhvāb
musāfirān-e-shab-e-ġham tumhārī ḳhair to hai
taḌaḳh ke TuuT gayā kyuuñ mirā nagīna-e-ḳhvāb
haqīqatoñ ke bhañvar se koī nikāle phir
ravāñ kare mirī jānib koī safīna-e-ḳhvāb
banā diyā tirī sohbat ne be-adab in ko
koī sikhā.e in āñkhoñ ko ab qarīna-e-ḳhvāb
koī to ho ki jo mujh ko fareb-e-paiham de
vo koī husn-e-haqīqat ho yā hasīna-e-ḳhvāb
ye aañkh hai hama-dam gardish-e-tajassus meñ
talāsh kartī hai mujh meñ koī dafīna-e-ḳhvāb
fishār-e-nīm-shabī se ab in dinoñ 'shāhid'
hai chaak chaak mirī jaañ qabā-e-sīna-e-ḳhvāb