Shahid Kamal

aks aaina-KHana se alag rakkha hai

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
aks ā.īna-ḳhāna se alag rakkhā hai
vahshat-e-zāt ko sahrā se alag rakkhā hai
ḳhud ko maiñ ḳhud se bhī milne nahīñ detā hargiz
apnī duniyā ko bhī duniyā se alag rakkhā hai
maiñ kahāñ sā.at-e-imroz meñ rahne vaalā
maiñ ne har roz ko fardā se alag rakkhā hai
do mahāzoñ pe abhī ma.arka-ārā.ī hai
ḳhema-e-sabr ko dajla se alag rakkhā hai
ḳhushk mashkīza-e-hulqūm kī nigarānī meñ
pyaas ke ḳhitte ko dariyā se alag rakkhā hai
vo to kahtā hai tirī zaat meñ zam huuñ lekin
us ne bhī ḳhud ko bas ik lā se alag rakkhā hai
kitnā āsān hai ye jāda-e-dushvār bhī ab
apnā har naqsh kaf-e-pā se alag rakkhā hai
maiñ 'yagānā' kā taraf-dār nahīñ huuñ 'shāhid'
is liye miir ko mirzā se alag rakkhā hai
Top Urdushayar.com