Shahid Kamal

KHud mujhko mere dast-e-kaman-gir se mila

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
ḳhud mujh ko mere dast-e-kamāñ-gīr se milā
jo zaḳhm bhī milā hai usī tiir se milā
tujh ko ḳhabar bhī hai mire inkār kā javāb
teġh-o-sinān-o-ḳhanjar-o-shamshīr se milā
gum ho gayā thā maiñ kahīñ dasht-e-vajūd meñ
maiñ apne ism-e-zāt kī tasḳhīr se milā
milne kī kuchh ḳhushī na bichhaḌne kā ḳhauf hai
ai mirī jaan tū baḌī tāḳhīr se milā
ai ramz-e-āgahī maiñ tujhe ḳhud pe vā karūñ
vahshat ko mere paañv kī zanjīr se milā
dariyā tamām tishna laboñ kī hai milkiyat
is mumlikat ko pyaas kī jāgīr se milā
jo ḳhvāb merī chashm-e-zarūrat ne kho diyā
vo ḳhvāb mere ḳhvāb kī ta.abīr se milā
'shāhid' mire mizāj kī āshuftagī na dekh
merī udāsiyoñ kā nasab 'mīr' se milā
Top Urdushayar.com