dasht-e-vahshat ko phir ābād karūñgā ik din
tū na hogā to tujhe yaad karūñgā ik din
apne hāthoñ se giraftār karūñgā ḳhud ko
ḳhud ko maiñ ḳhud se phir āzād karūñgā ik din
aa.ine se maiñ karūñgā tirī timsāl kashīd
phir tire aks ko ham-zād karūñgā ik din
merā dushman kaf-e-afsos malegā jānāñ
ḳhud ko is tarah se barbād karūñgā ik din
maiñ ye suntā huuñ ki ye kār-e-mohabbat hai savāb
maiñ bhī is kaam meñ imdād karūñgā ik din
apnī har baat pe tanqīd karūñgā ḳhud hī
apne hī aap pe īrād karūñgā ik din
bhuul kar bhī na bhulā pā.egī duniyā mujh ko
dekhnā vo suḳhan ījād karūñgā ik din
daad ḳhud deñge har ik sher pe 'ġhālib' mujh ko
'mīr'-sāhib ko bhī ustād karūñgā ik din