Shahid Kamal

kuchh yaqin sa guman sa kuchh hai

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
kuchh yaqīñ sā gumān sā kuchh hai
jo bhī hai merī jaan sā kuchh hai
fāsle ḳhatm ho ga.e lekin
phir bhī ik darmiyān sā kuchh hai
ham yahīñ par qayām karte haiñ
is khañDar meñ makān sā kuchh hai
haath meñ hai mahār-e-nāqa-e-ḳhāk
sar pe ik sā.ebān sā kuchh hai
dasht jaañ meñ vo ḳhaak uḌātā huā
ab bhī ik kārvān sā kuchh hai
khul ga.e us kī nusratoñ ke alam
vo havā meñ nishān sā kuchh hai
dekh neze kī is bulandī par
ye koī āsmān sā kuchh hai
ret par vo paḌī hai mushk koī
tiir bhī aur kamān sā kuchh hai
dekh andāz-e-be-zabānī-e-gul
apnā tarz-e-bayān sā kuchh hai
chal ke us kī galī meñ dekhte haiñ
shor āshuftagān sā kuchh hai
Top Urdushayar.com