is arsa-e-mahshar se guzar kyuuñ nahīñ jaate
jiine kī tamannā hai to mar kyuuñ nahīñ jaate
ai shahr-e-ḳharābāt ke āshufta-mizājoñ
jab TuuT chuke ho to bikhar kyuuñ nahīñ jaate
is dard kī shiddat bhī numū-ḳhez bahut hai
jo zaḳhm haiñ siine meñ vo bhar kyuuñ nahīñ jaate
ham mo.atakif-e-dasht-e-aziyyat to nahīñ haiñ
pairoñ se masāfat ke bhañvar kyuuñ nahīñ jaate
jab aa.e haiñ maqtal meñ to kyā lauT ke jaanā
ab apne lahū meñ hī nikhar kyuuñ nahīñ jaate
jab Duub ke marnā hai to kyā soch rahe ho
in jhiil sī āñkhoñ meñ utar kyuuñ nahīñ jaate
ye bhī koī zid hai ki ye 'shāhid' kī anā hai
jaate haiñ jidhar log udhar kyuuñ nahīñ jaate