Shahid Kamal

KHushiyan mat de mujhko dard-o-kaif ki daulat de sain

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
ḳhushiyāñ mat de mujh ko dard-o-kaif kī daulat de sā.īñ
mujh ko mere dil ke ik ik zaḳhm kī ujrat de sā.īñ
merī anā kī shah-e-rag par ḳhud merī anā kā ḳhanjar hai
mere lahū ke har qatre ko phir se hiddat de sā.īñ
ism-e-zāt kā raaz hai jo ḳhud mere uupar faash to kar
mere dil ke ā.īne ko phir se hairat de sā.īñ
toḌ de vo dīvār-e-nafas jo beach meñ mere haa.il hai
mujh ko mujh se milne kī ik baar jo mohlat de sā.īñ
maiñ bhī to miTTī huuñ vo bhī tere chaak kī miTTī huuñ
apne chaak kī miTTī ko achchhī sī sūrat de sā.īñ
duniyā kā ye jāh-o-hasham ye mansab ye jāgīr hai kyā
daulat kaisī mujh ko merā kāsa-e-usrat de sā.īñ
mere is lahje ko bhī ab ek nayā āhañg to de
mere saare alfāz-o-afkār ko nudrat de sā.īñ
kār-e-jahāñ ke mansab se tū 'shāhid' ko ma.azūl bhī kar
kaam use jo kuchh bhī de vo hasb-e-zarūrat de sā.īñ
Top Urdushayar.com