harf-e-kun shah-e-rag-e-hū meñ gum hai
ik jahāñ zauq-e-numū meñ gum hai
apne hī husn kā akkās hai husn
aa.ina ā.ina-rū meñ gum hai
kaif-āmez hai kaifiyyat-e-hāl
nashsha-e-mai ki subū meñ gum hai
dard chīḳh uThtā hai siine meñ koī
zaḳhm jaise ki lahū meñ gum hai
tiir mat dekh mire zaḳhm ko dekh
yār-e-yār apnā adū meñ gum hai
khol mat band-e-qabā rahne de
chāk-e-dāmān rafū meñ gum hai
nāfa-e-āhū-e-tātār hai ishq
bū-e-gul apnī hī bū meñ gum hai
ḳhaak uḌtī hai sar-e-sāhil jo
tishnagī nahr-e-gulū meñ gum hai
ye bhī kyā ḳhud hai ki ḳhud meñ bhī nahīñ
ye bhī kyā maiñ hai ki tū meñ gum hai
mast huuñ apnī anā meñ maiñ bhī
aur vo apnī hī ḳhū meñ gum he