Shahid Kamal

ai zauq arz-e-hunar harf-e-etidal mein rakh

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
ai zauq arz-e-hunar harf-e-e'tidāl meñ rakh
maiñ ik javāb huuñ mujhī ko mire savāl meñ rakh
nuqūsh-e-ḳhāk-e-badan ko tū muntashir kar de
mire vajūd ko phir mere ḳhatt-o-ḳhāl meñ rakh
phir us ke ba.ad hunar dekh mo.jizā.ī ke
tū is badan ko mire dast-e-ittisāl meñ rakh
tū mujh se māñgnā phir mere roz-o-shab kā hisāb
ai haal haal mire mujh ko mere haal meñ rakh
burīda-sar ko sajā de fasīl-e-neza par
darīda jism ko phir arsa-e-qitāl meñ rakh
ye dard terī amānat hai so ise tū sambhāl
ye merā dil hai ise qarya-e-malāl meñ rakh
tujhe ġhurūr hai maiñ bhī balā kā ziddī huuñ
ai merī jaan tū is baat ko ḳhayāl meñ rakh
sunā hai tujh ko bhī hai sher-o-shā.erī se shaġhaf
tū mere sher ko phir 'shāhid' misāl meñ rakh
Top Urdushayar.com