Shahid Kamal

hawa ki Dor mein TuTe hue tare piroti hai

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
havā kī Dor meñ TuuTe hue taare pirotī hai
ye tanhā.ī ajab laḌkī hai sannāTe meñ rotī hai
mohabbat meñ lagā rahtā hai andesha judā.ī kā
kisī ke ruuTh jaane se kamī mahsūs hotī hai
ḳhamoshī kī qabā pahne hai mahv-e-guftugū koī
barahna jism tanhā.ī mire pahlū meñ sotī hai
ye āñkheñ roz apne āñsuoñ ke surḳh resham se
nayā kuchh ḳhvāb buntī hai koī sapnā sanjotī hai
lahū meñ tairne lagtā hai jab vo chāñd sā chehrā
havā-e-dard siine meñ koī neza chubhotī hai
ye shahr-e-raftagāñ hai ab yahāñ koī nahīñ aatā
ye kis ke paaoñ kī aahaT mujhe mahsūs hotī hai
burīda-sar paḌā hai kushta-e-ummīd sahrā meñ
udāsī ḳhaak par baiThī huī āñchal bhigotī he
Top Urdushayar.com