Shahid Kamal

bhar gae zaKHm to kya dard to ab bhi koi hai

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
bhar ga.e zaḳhm to kyā dard to ab bhī koī hai
aañkh rotī hai to rone kā sabab bhī koī hai
pī ga.ī ye mirī tanhā.ī mire dil kā lahū
qatra-e-ashk pe ye jashn-e-tarab bhī koī hai
maut se talḳh hai shāyad tirī rahmat kā azaab
jis ko kahte haiñ ġhazab aisā ġhazab bhī koī hai
roz gulshan meñ yahī pūchhtī phirtī hai sabā
tere phūloñ meñ mirā ġhuncha-e-lab bhī koī hai
us ke pahlū se bahut duur mire dil ke qarīb
aisā lagtā hai ki baiThā huā ab bhī koī hai
jo alāmat ho tire halqa-e-ushshāq ke biich
tujh se nisbat ke liye aisā laqab bhī koī hai
'shāhid' us silsila-e-ishq se vābasta huuñ
jis meñ ḳhud 'mīr' sā ik ālī-nasab bhī koī hai
Top Urdushayar.com