jo mirī pusht meñ paivast hai us tiir ko dekh
kitnī ḳhush-rañg nazar aatī hai tasvīr ko dekh
raqs kartā huā maqtal meñ chalā aayā huuñ
paañv mat dekh mire paañv kī zanjīr ko dekh
koī neza mire siine meñ alam hotā hai
mirī shah-e-rag pe chamaktī huī shamshīr ko dekh
ḳhud ko ījād maiñ kartā huuñ na.e tarz pe roz
ai mirī jaan kabhī tū mirī ta.amīr ko dekh
merī āñkhoñ meñ kisī ḳhvāb ne dam toḌ diyā
merī palkoñ se ulajhtī huī ta.abīr ko dekh
kyā hai duniyā ke ḳharābāt meñ vahshat ke sivā
mujh meñ ābād mire shahr-e-asātīr ko dekh
itnī ujlat thī ki maiñ ḳhud ko vahīñ chhoḌ aayā
kaun detā hai sadā kūcha-e-tāḳhīr ko dekh
mire alfāz kī duniyā kī kabhī sair to kar
ham se kuchh ḳhāk-nashīnoñ kī bhī jāgīr ko dekh
dekh 'shāhid' ko samajhnā koī āsān nahīñ
itnā dushvār nahīñ huuñ mirī tahrīr ko dekh