shikasta jism darīda jabīn kī jānib
kabhī to dekh mire ham-nashīn kī jānib
maiñ apnā zaḳhm dikhā.ūñ tujhe ki maiñ dekhūñ
lahū meñ Duubī huī āstīn kī jānib
in āsmān-mizājoñ se hai balā kā gurez
palaT rahā huuñ maiñ apnī zamīn kī jānib
kuchh apne harf ke motī kuchh apne lafz ke phuul
uchhāl aaya huuñ us nāznīn kī jānib
kisī kī chashm ta.āqub kī zad meñ rahtā huuñ
maiñ dekhtā huuñ jab us mah-jabīn kī jānib
ḳhud apne hone pe mujh ko yaqīn hai lekin
maiñ dekhtā huuñ gumāñ se yaqīn kī jānib
masāf-e-jāñ meñ khaḌā huuñ mire adū se kaho
vo dekhtā hai yasār-o-yamīn kī jānib
kisī ne thaam lī baḌh kar mire faras kī rikāb
kisī ne haath baḌhāyā thā ziin kī jānib
ḳhud apne fan kā ye 'shāhid' kamāl hai naqqād
vo dekhtā hī nahīñ nāqidīn kī jānib