sab haiñ masrūf kisī ko yahāñ fursat nahīñ hai
sab zarūrat hai magar kār-e-zarūrat nahīñ hai
tujh se dushnām-tarāzoñ kī himāyat ke liye
ab mire paas koī harf-e-suhūlat nahīñ hai
roz ik hashr bapā karte the jis kī ḳhātir
ham ye sunte haiñ ki vo fitna-e-qāmat nahīñ hai
aks-e-ram-sāzī-e-vahshat se use hai nisbat
ab to ā.īnoñ ko pahlī sī vo hairat nahīñ hai
kis liye tark-e-ta.alluq pe nadāmat hai tujhe
ai mirī jaan mujhe koī shikāyat nahīñ hai
raqs-e-āshob ajab dekhā hai galiyoñ meñ tirī
ai mire shahr yahāñ koī salāmat nahīñ hai
hukm hai ḳhāna-e-vahshat ke makīnoñ se kaho
ab yahāñ saañs bhī lene kī ijāzat nahīñ hai
ḳhūñ-bahā māñgne vāloñ ko nadāmat hai bahut
mere qātil ko magar koī nadāmat nahīñ hai
ramz-o-asrār se ḳhālī nahīñ hote mire sher
ye alag baat ki 'shāhid' ko vo shohrat nahīñ hai