hameñ ḳhabar bhī nahīñ yaar khīñchtā hai koī
hamāre beach meñ dīvār khīñchtā hai koī
ye kaisā dasht-e-tahayyur hai yaañ se kuuch karo
hamāre paañv se raftār khīñchtā hai koī
hai chaak chaak hamāre lahū kā pairāhan
hamārī ruuh se jhankār khīñchtā hai koī
maiñ chal rahā huuñ musalsal binā tavaqquf ke
mujhe ba-sūrat-e-parkār khīñchtā hai koī
yahāñ to māl-e-ġhanīmat samajh rahe haiñ sabhī
qabā bachāo to dastār khīñchtā hai koī
use sikhāo ki tahzīb-e-guftugū kyā hai
zarā sī baat pe talvār khīñchtā hai koī
hai mirā naam bhī is mahzar-e-shahādat meñ
mujhe bhī lashkar-e-inkār khīñchtā hai koī
munāf-e-jazb-e-darūñ maiñ huuñ in dinoñ 'shāhid'
mujhe ik aks-e-pur-asrār khīñchtā hai koī