ye zarūrat hai to phir is ko zarūrat se na dekh
apnī chāhat ko kisī aur kī chāhat se na dekh
tujh meñ aur mujh meñ koī farq nahīñ hai lekin
tū sharāfat ko mirī apnī sharāfat se na dekh
mujh ko ho jā.egī ab mujh se hī nafrat varna
ai mirī jaan mujhe itnī mohabbat se na dekh
hañs ke har bojh zamāne kā uThā letā huuñ
maiñ huuñ mazdūr mujhe itnī hiqārat se na dekh
ham-nashīnī kā sharaf sab ko kahāñ miltā hai
tere pahlū meñ jo baiThā huuñ to hairat se na dekh
husn-bīnī ke bhī ādāb huā karte haiñ
us ke chehre kī taraf itnī jasārat se na dekh
us se māñgā hai kahāñ maiñ ne koī harf-e-qisās
mere qātil se ye kah mujh ko nadāmat se na dekh