jo is zamīn pe rahte the āsmān se log
kahāñ ga.e vo mire saare mehrbān se log
ye be-charāġh sī bastī ye be-sadā galiyāñ
har ek samt ye ujḌe hue makān se log
sar-e-navishta-e-taqdīr ḳhvāb kī sūrat
likhe haiñ ret pe kuchh harf-e-rā.egān se log
ki ye asar to nahīñ un kī fāqa-mastī kā
phir aaj tañg hue haiñ jo apnī jaan se log
kuchh is meñ hasb-e-zarūrat kiye ga.e shāmil
kuchh ham ne hazf kiye apnī dāstān se log
abhī na ḳhatm huā thā fasāna-e-hastī
gurez karne lage apne darmiyān se log
paḌī hai ret pe TuuTī huī vo kashtī-e-ḳhāk
ki uḌ rahe haiñ havāoñ meñ bādbān se log
tujhe to apnī hī jaañ kī paḌī huī hai 'kamāl'
guzar rahe haiñ yahāñ par kis imtihān se log