kūcha-e-rañg-e-malāmat ke sab āsār ke saath
aa ga.e dasht meñ ham bhī dar-o-dīvār ke saath
dasht-e-vahshat ne mire noch lī shab kī poshāk
toḌ dī paañv kī zanjīr bhī jhankār ke saath
merī tanhā.ī meñ ik vajd kī kaifiyyat hai
raqs kartā huuñ maiñ ik ālam-e-asrār ke saath
gūñjtā hai mire siine ke nihāñ-ḳhāne meñ
saañs letā hai koī vaqt kī raftār ke saath
kaaT Dālūñgā maiñ ḳhud apnī anā kī shah-e-rag
aaj ḳhud apne muqābil huuñ maiñ talvār ke saath
din to ḳhvāboñ se ulajhne meñ guzar jaatā hai
raat kaT jaatī hai ārām se āzār ke saath
jis ko duniyā ne bhī bekār samajh rakkhā thā
maiñ ne sīkhā hai bahut kuchh isī bekār ke saath
nāznīnān-e-ḳhush-andāam kā shā.ir huuñ maiñ
baiTh ke dekh kabhī 'shāhid'-e-tarrār ke saath