Shahid Kamal

soch raha hai itna kyun ai dast-e-be-taKHir nikal

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
soch rahā hai itnā kyuuñ ai dast-e-be-tāḳhīr nikāl
tū ne apne tarkash meñ jo rakkhā hai vo tiir nikāl
jis kā kuchh anjām nahīñ vo jañg hai do naqqādoñ kī
lafzoñ kī saffāk sināneñ lahjoñ kī shamshīr nikāl
āshob-e-taḳhrīb sā kuchh is andām-e-taḳhlīq meñ hai
toḌ mire dīvār-o-dar ko ek na.ī ta.amīr nikāl
chāñd sitāroñ kī khetī kar raat kī banjar dhartī par
aañkh ke is sūkhe dariyā se ḳhvāboñ kī ta.abīr nikāl
tere is ehsān se merī ġhairat kā dam ghuTtā hai
mere in pairoñ se apnī shohrat kī zanjīr nikāl
roz kī āpā-dhāpī se kuchh vaqt churā kar laa.e haiñ
yaar zarā ham donoñ kī ik achchhī sī tasvīr nikāl
'shāhid' ab ye aalam hai is ahd-e-suḳhan-arzānī kā
'mīr' pe kar īrād bhī us pe 'ġhālib' kī tafsīr nikāl
Top Urdushayar.com