dhuup ke zard jazīroñ meñ numū zinda hai
rañg-e-āshob fazāoñ meñ lahū zinda hai
ḳhvāb dar ḳhvāb bas ik chīḳhte sahrā kā sukūt
aur āñkhoñ meñ vahī diid kī ḳhū zinda hai
shāḳh-e-mizhgāñ pe mahakne lage zaḳhmoñ ke gulāb
pichhle mausam kī mulāqāt kī bū zinda hai
mere saaqī tire jāñ-baḳhsh laboñ kā hai ye faiz
dast-e-mai-kash meñ abhī tak jo subū zinda hai
shal huā jaatā hai kyuuñ haath mire qātil kā
zad pe ḳhanjar ke abhī ḳhushk gulū zinda hai
kapkapī fart-e-nadāmat se hai maujoñ meñ abhī
tishna-lab kaun sar-e-sāhil-e-jū zinda hai
kitnī jāñ-soz hai is shahr-e-munāfiq kī havā
is pe 'shāhid' mujhe hairat hai ki tū zinda hai