murjhā.e hue phir gul-e-tar dekh rahī huuñ
nā-qadrī-e-arbāb-e-hunar dekh rahī huuñ
phir chashm-e-taġhāful se tirī hashr bapā hai
maiñ gardish-e-daurāñ kī nazar dekh rahī huuñ
mizhgāñ pe larazte hue ashkoñ ke diye haiñ
vāvasta-e-jāñ barq-o-sharar dekh rahī huuñ
kyā husn-e-basārat meñ basīrat kī kamī hai
kuchh ahl-e-nazar chāk-e-jigar dekh rahī huuñ
pindār-e-vafā tamkanat-e-hosh ḳhabar-dār
aflāk pe dhartī ke qamar dekh rahī huuñ
ab tak ye rivāyāt-e-kuhan jaag rahī haiñ
kuchh la.al-o-gohar ḳhāk-basar dekh rahī huuñ
kuchh terī nigāhoñ ne dikhāyā hai tamāsha
kuchh turfa zamāne kā asar dekh rahī huuñ
tasḳhīr-e-mah-o-mehr ke bā-vasf 'azīz' aaj
ujḌe hue ḳhāmosh nagar dekh rahī huuñ