chashm-e-ḳhush-āb kī tamsīl meñ rahne vaale
ham parinde haiñ isī jhiil meñ rahne vaale
ham ko raas aatī nahīñ kūcha-e-jānāñ kī havā
ham haiñ alfāz kī tahvīl meñ rahne vaale
kitne āshob gazīda se nazar aate haiñ
usrat-e-ḳhāna-e-takmīl meñ rahne vaale
apne alfāz se tajsīm karūñgā tujh ko
mujh pe vā ho merī taḳh.īl meñ rahne vaale
vus.at-e-zaḳhm kā tujh ko bhī nahīñ andāza
ai mire zaḳhm kī tāvīl meñ rahne vaale
kis liye karte ho tum harf-e-malāmat se gurez
ham kahāñ sohbat-e-jibrīl meñ rahne vaale
mere lafzoñ ko bhī dete haiñ vo āyāt-e-shifā
haañ vahī hurmat-e-injīl meñ rahne vaale
jā tujhe 'shāhid' zī-jāh ne āzād kiyā
ai mire hukm kī ta.amīl meñ rahne vaale