zaḳhm-e-jigar ko dast-e-jarāhat se pūchhiye
jo rah ga.ī diloñ meñ vo hasrat se pūchhiye
jāñ-dādgān-e-aish kā anjām kyā huā
āvārgān-e-kūcha-e-vahshat se pūchhiye
maiñ kho gayā huuñ apnī zarūrat kī bhiiḌ meñ
maiñ kyā huuñ mujh ko merī zarūrat se pūchhiye
afsos hai mujhe mirī ġhairat kī maut par
kyuuñ kī hai ḳhud-kushī mirī ġhurbat se pūchhiye
ham kyuuñ havas-parastī kā ilzām deñ use
sab aaj apnī apnī mohabbat se pūchhiye
kahte haiñ kis ko hashr qayāmat hai kis kā naam
ham-sakinān-e-shahr-e-qayāmat se pūchhiye
khulte kahāñ haiñ sab pe ye asrār harf ke
ramz-e-suḳhan ko ahl-e-farāsat se pūchhiye
kyuuñ vo zabāñ-darāz bhī ḳhāmosh ho gayā
'shāhid'-kamāl us kī ra.ūnat se pūchhiye