Shahid Kamal

ibtida se main intiha ka hun

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
ibtidā se maiñ intihā kā huuñ
maiñ huuñ maġhrūr aur balā kā huuñ
tū bhī hai ik charāġh-e-mohlat-e-shab
maiñ bhī jhoñkā kisī havā kā huuñ
pheñk mujh par kamand-e-nāz apnī
aaj maiñ ham-safar sabā kā huuñ
jis meñ malbūs chāñd rahtā hai
maiñ bhī takmā usī qabā kā huuñ
mujh ko apnā samajh rahī hai tū
maiñ kisī aur bevafā kā huuñ
is meñ merī ḳhatā nahīñ koī
murtakib bas isī ḳhatā kā huuñ
zindagī maiñ abhī salāmat huuñ
maiñ asar terī bad-duā kā huuñ
mujh pe rakhtā hai tohmat-e-ilhād
maiñ bhī banda isī ḳhudā kā huuñ
ujḌe ḳhemoñ kā sogvār huuñ maiñ
maiñ azādār karbalā kā huuñ
mujh ko 'shāhid'-kamāl kahte haiñ
maiñ bhī shā.ir huuñ aur balā kā huuñ
Top Urdushayar.com