bahut dhokā kiyā ḳhud ko magar kyā kar liyā maiñ ne
tamāshā mujh ko karnā thā tamāshā kar liyā maiñ ne
yahāñ bhī ab na.ī ābādiyoñ kā shor suntā huuñ
yahāñ se bhī nikalne kā irāda kar liyā maiñ ne
safar meñ dhuup kī shiddat kahāñ tak jheltā āḳhir
tirī yādoñ ko oḌhā aur saaya kar liyā maiñ ne
koī achchhā nahīñ sab log ik jaise haiñ bastī meñ
natīja ye huā ḳhud ko akelā kar liyā maiñ ne
koī mausam ho kaisī hī fazā ho ġham nahīñ hotā
zamāne vaalā har ik rañg paidā kar liyā maiñ ne
ye duniyā apne Dhab kī thī na duniyā vaale achchhe the
magar kyā kījiye phir bhī guzāra kar liyā maiñ ne