apnī pahchān koī zamāne meñ rakh
ḳhud ko zaa.e.a na kar kuchh ḳhazāne meñ rakh
raat kī be-libāsī pe mazmūn likh
shaam ke phuul chun ke lifāfe meñ rakh
raushnī kī zarūrat paḌegī tujhe
aag mahfūz kuchh āshiyāne meñ rakh
jāntā huuñ mirā koī masraf nahīñ
ek fashion samajh ke havāle meñ rakh
saare tīroñ ko ik saath zaa.e.a na kar
farq kuchh to añdhere ujāle meñ rakh