Aziz Badayuni

soz-e-dil-o-jaan aur hai saz-e-dil-o-jaan aur

Aziz Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1929
soz-e-dil-o-jāñ aur hai sāz-e-dil-o-jāñ aur
ehsās-e-bayāñ aur hai idrāk-e-nihāñ aur
duniyā-e-mohabbat meñ zamīñ aur zamāñ aur
ik sho.ala-ba-jāñ naġhma-kunāñ rāz-e-nihāñ aur
shā.ir kā jahāñ aur hai shātir kā jahāñ aur
mafhūm mohabbat kā yahāñ aur vahāñ aur
ai chāñd kī maflūj fazāoñ ke musāfir
hai muntazir-e-dīd abhī bazm-e-jahāñ aur
ḳhud mahv-e-tamāshā haiñ mah-o-mehr-o-kavākib
hai ādam-e-ḳhākī tirī manzil kā nishāñ aur
kuchh duur hujūm-e-ġham-e-jānāñ se nikal jā
ai ashk-e-ravāñ sho.ala-e-jāñ barq-e-tapāñ aur
ye nuz.hat-o-nik.hat kā tabassum vo tasādum
ye abr-e-karam aur hai aahoñ kā dhuāñ aur
tujh ko ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ se badal duuñ
hai azm-e-javāñ aur zamāñ aur samāñ aur
sarmāya-e-hastī thā kabhī josh-e-taġhazzul
ehsās-e-junūñ aur thā andāz-e-bayāñ aur
kyā ye bhī zamāne kā koī turfa asar hai
hai terī 'azīz' aaj zabāñ aur bayāñ aur
Top Urdushayar.com