chhāñv kī shakl dhuup kī rañgat badal ga.ī
ab ke vo lū chalī hai ki sūrat badal ga.ī
hañsnā hañsānā apnā mashīnī amal huā
badlī havā-e-shahr to aadat badal ga.ī
achchhā sā suiT jism par apne sajā ke vo
ḳhush hai ki jaise ghar kī bhī hālat badal ga.ī
sar ko chhupāyā paañv bhī khulne nahīñ diyā
ḳhvāhish baḌhī to apnī zarūrat badal ga.ī
nazzāra-e-nigāh hai ye jaltā-bujhtā din
kuchh ġham nahīñ jo raat kī dāvat badal ga.ī
ab guftugū meñ beach se ġhā.eb hai aadmī
ham tak to aate aate rivāyat badal ga.ī