manzar ajab thā ashkoñ ko rokā nahīñ gayā
hañstā huā jo aayā thā hañstā nahīñ gayā
ik baar yuuñ hī dekh liyā thā use kahīñ
phir us ke ba.ad shahr meñ dekhā nahīñ gayā
thī jis ke dam se raunaq-e-mahfil hamā-hamī
dāvat meñ us ġharīb ko pūchhā nahīñ gayā
saarī ḳhudā.ī ḳhud hī khiñchī jaatī thī udhar
maiñ ḳhud vahāñ gayā mujhe bhejā nahīñ gayā
jo kuchh na dekhtā thā 'shafaq' dekhnā paḌā
ghar le ke mujh ko shaam ko rasta nahīñ gayā