pau phaTī ek taaza kahānī milī
ḳhairiyat us kī din kī zabānī milī
koī rāhat na ham ko zamīnī milī
jo bhī sauġhāt thī āsmānī milī
qaid-e-dīvār-o-dar se jo mahfūz hai
aise ghar kī hameñ pāsbānī milī
koī pattā na khaḌkā kahīñ rāt-bhar
har taraf ḳhauf kī hukmarānī milī
aur bhī log the shahr-e-bīmār meñ
ik hamīñ ko magar tarjumānī milī