din ko the ham ik tasavvur raat ko ik ḳhvāb the
ham samundar ho ke bhī is ke liye pāyāb the
sard se marmar pe shab ko jo ubhāre the nuqūsh
sub.h ko dekhā to sab aks-e-hunar nāyāb the
vo ilāqe zindagī-bhar jo namī māñgā kiye
kal ghaTā.eñ chhā.īñ to dekhā ki zer-e-āb the
ik kiran bhī ahd meñ un ke na bhūle se milī
din ke jo sūraj the apne raat ke mahtāb the
aaj un peḌoñ pe sūraj kī kiran ruktī nahīñ
kal yahī the bār-āvar kal yahī shādāb the
ab khulā ki būñdiyāñ motī haiñ Dhaltī thiiñ kahāñ
ham jo Duube haath apne gauhar-e-nāyāb the
koī apnī bhī haqīqat mil ke dariyā se 'shafaq'
chhoTe chhoTe apne naale kis qadar betāb the