phūloñ ko vaise bhī murjhānā hai murjhā.eñge
khiḌkiyāñ kholīñ to sannāTe chale ā.eñge
laakh ham ujlī rakheñ shahr kī dīvāroñ ko
shahr-nāme to bahar-hāl likkhe jā.eñge
raakh rah jā.egī rūdād sunāne ke liye
ye to mehmān parinde haiñ chale jā.eñge
apnī laġhzish ko to ilzām na degā koī
log thak-hār ke mujrim hameñ Thahrā.eñge
aaj jin jag.hoñ kī tafrīh se mahfūz huuñ maiñ
mere hālāt mujhe kal vahāñ pahuñchā.eñge
rāste shaam ko ghar le ke nahīñ lauTeñge
ham tabarruk kī tarah rāhoñ meñ baT jā.eñge
din kisī tarah se kaT jā.egā saḌkoñ pe 'shafaq'
shaam phir aa.egī ham shaam se ghabrā.eñge