koī bhī shaḳhs na hañgāma-e-makāñ meñ milā
har ek jalte hue ġham ke sā.ebāñ meñ milā
koī na zehn meñ sūrat na koī ḳhāka hai
vo mujh se jab bhī milā malgaje dhuāñ meñ milā
bayān karne pe aa.uuñ to lafz TūTte haiñ
vo ek aks jo bujhte hue samāñ meñ milā
vo shai ki jis ne dhuāñ dil meñ mere phailāyā
nishān us kā na kuchh duur tak dhuāñ meñ milā
safar tamām huā itnī ḳhush-ḳhirāmī se
tanāv bhī nahīñ kashtī ke bādbāñ meñ milā
zarā ye soch haqīqat banā to kyā hogā
vo shā.iba jo mujhe sarhad-e-gumāñ meñ milā
sunā hai har ghaḌī tū muskurātā rahtā hai
mujhe bhī jazb zarā kar ke jism-o-jāñ meñ milā
Thahar sakegā na har shaḳhs zad pe sochā nahīñ
vo tiir chal gayā jo vaqt kī kamāñ meñ milā
jo mujh pe match kare merā apnā kahlā.e
libās aisā na mujh ko sajī dukāñ meñ milā