ujḌe nagar meñ shaam kabhī kar liyā kareñ
mujh se duā salām kabhī kar liyā kareñ
jañgal ke phuul hī sahī lekin haiñ kaam ke
saath un ke bhī qayām kabhī kar liyā kareñ
har raah saaf sīdhī nahīñ pur-ḳhatar bhī hai
sūraj chhupe to shaam kabhī kar liyā kareñ
mausam hai ḳhush-gavār to shāḳheñ bhī sar pe haiñ
un kā bhī ehtirām kabhī kar liyā kareñ
kaTtā hai vaqt kaise kisī ko girāyā jaa.e
kuchh kaam kā bhī kaam kabhī kar liyā kareñ
shirkat tamām da.avatoñ meñ lāzmī nahīñ
lekin kahīñ to naam kabhī kar liyā kareñ
ye sach hai aage pīchhe 'shafaq' dost hī to haiñ
talvār be-niyām kabhī kar liyā kareñ