Aziz Badayuni

baqa sadaf ki guhar ke siwa kuchh aur nahin

Aziz Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1929
baqā sadaf kī guhar ke sivā kuchh aur nahīñ
vafā shu.ūr-e-bashar ke sivā kuchh aur nahīñ
ġhalat ġhalat ki mohabbat fareb-e-hastī hai
ye rabt-e-ḳhās asar ke sivā kuchh aur nahīñ
shuā-e-mehr-e-munavvar maiñ māh-e-tābāñ maiñ
kisī kī pahlī nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
abhī junūñ ko guzarnā hai shāh-rāhoñ se
junūñ kī had tire dar ke sivā kuchh aur nahīñ
vo shām-e-ġham jo tirī zindagī kā hāsil hai
vo shaam nūr-e-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ
yahī nizām-e-jahāñ hai yahī hai rāz-e-baqā
samar hayāt-e-shajar ke sivā kuchh aur nahīñ
tujhe ḳhirad se hai nisbat hameñ 'azīz' junūñ
ba-qadr-e-zarf nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
Top Urdushayar.com