khiḌkiyoñ par malgaje saa.e se lahrāne lage
shaam aa.ī phir gharoñ meñ log ghabrāne lage
shahr kā manzar hamāre ghar ke pas-e-manzar meñ hai
ab udhar bhī ajnabī chehre nazar aane lage
dhuup kī qāsheñ hare maḳhmal pe zau dene lagīñ
saa.e kamroñ se nikal kar sehn meñ aane lage
jugnuoñ se saj ga.iiñ rāheñ kisī kī yaad kī
din kī chaukhaT par musāfir shaam ke aane lage
būñdiyāñ barsīñ havā ke bādbāñ bhī khul ga.e
niile piile pairahan saḌkoñ pe lahrāne lage
sochte haiñ kaaT deñ āñgan ke peḌoñ ko 'shafaq'
ghar kī bāteñ ye galī-kūche meñ phailāne lage