dhīre dhīre shaam kā ā.ankhoñ meñ har manzar bujhā
ik diyā raushan huā to ik diyā andar bujhā
vo to raushan qumqumoñ ke shahr meñ mahsūr thā
saḳht hairat hai ki aisā aadmī kyuuñ kar bujhā
is siyah-ḳhāne meñ tujh ko jāgnā hai raat bhar
in sitāroñ ko na be-maqsad hathelī par bujhā
zehn kī āvārgī ko bhī panāheñ chāhiye
yuuñ na sham.oñ ko kisī dahlīz par rakh kar bujhā
aur bhī ghar the havā kī zad pe bastī meñ 'shafaq'
mere hī ghar kā diyā tūfān meñ akasr bujhā