raat kaafī lambī thī duur tak thā tanhā maiñ
ik zarā se roġhan par kitnā jaltā-bujhtā maiñ
sab nishān qadmoñ ke miT ga.e the sāhil se
kis ke vāste āḳhir Dūbtā ubhartā maiñ
merā hī badan lekin buuñd buuñd ko tarsā
dast aur sahrā par abr ban ke barsā maiñ
adh-jale se kāġhaz par jaise harf raushan hoñ
us kī koshishoñ par bhī zehn se na utrā maiñ
donoñ shakloñ meñ apne haath kuchh nahīñ aayā
kitnī baar simTā maiñ kitnī baar phailā maiñ
zindagī ke āñgan meñ dhuup hī nahīñ utrī
apne sard kamre se kitnī baar niklā maiñ
aaj tak koī kashtī is taraf nahīñ aa.ī
pāniyoñ ke ghere meñ aisā huuñ jazīra maiñ
kāTtā thā har manzar dūsre manāzir ko
koī manzar āñkhoñ meñ kis tarah se bhartā maiñ