hone vaalā thā ik hādsa rah gayā
kal kā sab se baḌā vāqi.a rah gayā
raat āñgan meñ utrī nahīñ chāñdnī
chāñd shāḳhoñ meñ uljhā huā rah gayā
ham ne kah sun liyā mutma.in ho ga.e
aur ab kahne sunñe ko kyā rah gayā
sub.h hogī kahānī banegī koī
zindagī kā yahī mas.ala rah gayā
maiñ ne nafrat kī khaa.ī pe pul rakh diyā
phir bhī TuuTā huā silsila rah gayā
sab Darāme ke kirdār ghar chal diye
sāmne ek parda paḌā rah gayā
ye bhī taklīk-deh ik sazā hī to hai
shāḳh meñ ek pattā harā rah gayā
maiñ kisī ke yahāñ vaqt kyā kāTtā
apnā hī ghar 'shafaq' DhūñDhtā rah gayā