Aziz Badayuni

sunoge tum bhi meri dastan kabhi na kabhi

Aziz Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1929
sunoge tum bhī mirī dāstāñ kabhī na kabhī
asar dikhā.egā dard-e-nihāñ kabhī na kabhī
kabhī to ātish-e-namrūd sard bhī hogī
qarār pā.egā qalb-e-tapāñ kabhī na kabhī
ye aaj gardish-e-shām-o-sahar batātī hai
nazar bachā.egā ḳhud āsmāñ kabhī na kabhī
kabhī to gauhar-e-nāyāb haath aa.egā
milegā rūh-e-ḳhudī kā nishāñ kabhī na kabhī
jamūd-e-sehr-e-tamannā meñ rah nahīñ saktā
faroġh pā.egā azm-e-javāñ kabhī na kabhī
azaañ bilāl kī gūñjī hai regzāroñ meñ
sunegā dil kī sadā ye jahāñ kabhī na kabhī
'azīz' terī mohabbat bhī rañg lā.egī
tamām hogā ġham-e-bekarāñ kabhī na kabhī
Top Urdushayar.com