Shamim Qasmi

sab se pahle to arz matla hai

Shamim Qasmi

Bihar, India

1954
sab se pahle to arz matl.a hai
yuuñ samajhiye ki us kā jalva hai
ā.īna jhuuT bolne ke liye
sau bahāne talāsh kartā hai
zinda rakkhegī shā.erī mujh ko
kaun kahtā hai is meñ ghāTā hai
dil-e-shā.ir bhī hai phisaDDī hī
husn ke pīchhe pīchhe rahtā hai
sach zamīnī ki āsmānī ho
vo badan zinda isti.āra hai
koī achchhā sā sher ho jaa.e
phir to barsoñ ḳhamosh rahnā hai
apne baare meñ sochne ke liye
duur se chāñd kā ishāra hai
chhū ke malbūs-e-yār hai guzrī
mood bigḌā huā sabā kā hai
Top Urdushayar.com