Shamim Qasmi

ham-martaba na samjho rutba mera to jaano

Shamim Qasmi

Bihar, India

1954
ham-martaba na samjho rutba mirā to jaano
shān-e-zaman raho tum mujh ko gadā to jaano
yuuñ to nikāl degā sandal-badan kā kas-bal
bose kī kar de ḳhvāhish puurī muā to jaano
ab se bhī siikh lo tum paañv zamīñ pe dharnā
kāġhaz qalam uThāyā tum par likhā to jaano
shīshe pe pā-barahna chalnā nahīñ hai āsāñ
kircheñ chubheñ to jaano talvā chhilā to jaano
muue ne muñh kī khaa.ī phir bhī ye zor zorī
ye reḳhtī hai bhaa.ī tum reḳhta to jaano
ġhāzī-miyāñ haiñ chhoTe lekin baḌī sī dum hai
ye dum phañsī to jaano kuchh bhī huā to jaano
kahte haiñ 'qāsmī' bhī bachpan kā hai chaTorā
hatthe chaḌhegī jab bhī vo dilrubā to jaano
Top Urdushayar.com