sayyāl tasavvur hai ubalne kī tarah kā
ik aks se sau aks meñ Dhalne kī tarah kā
ab sāneha-e-hijr-e-musalsal kā maza bhī
hai ātish-e-taḳhlīq meñ jalne kī tarah kā
sab qaid huā jaatā hai tañgnā.e-ġhazal meñ
manzar pas-e-manzar hai badalne kī tarah kā
apnī hī tarah kā hai qadam rāh-e-talab meñ
girne kī tarah kā na sambhalne kī tarah kā
samjho ki qarīb aa ga.ī irfān kī manzil
jiine meñ maza aa.e jo marne kī tarah kā
ye soch ke maiñ gosha-e-dil vā nahīñ kartā
us shoḳh kā milnā hai bichhaḌne kī tarah kā
kuchh aaise hī mausam meñ use aanā thā shāyad
hai mausam-e-dil phūlne-phalne kī tarah kā
ye soch ke meñ gosha-e-dil vā nahīñ kartā
us shoḳh kā milnā hai bichhaḌne kī tarah kā
kuchh aaise hī mausam meñ use aanā thā shāyad
hai mausam-e-dil phūlne-phalne kī tarah kā