Shamim Qasmi

naya lahja ghazal ka misra-e-sani mein rakkha hai

Shamim Qasmi

Bihar, India

1954
nayā lahja ġhazal kā misra-e-sānī meñ rakkhā hai
huā ko muTThiyoñ meñ aag ko paanī meñ rakkhā hai
na jaane kyā samajh kar chakh liyā thā dāna-e-gandum
abhī ik bhuul ne ab tak pashemānī meñ rakkhā hai
vatan se duur huuñ meñ rizq kī ḳhātir mire maulā
magar bastī ko terī hī nigahbānī meñ rakkhā hai
safar meñ bhī darāmā.ī anāsir kaam aa.e haiñ
zabāñ kī chāshnī se sab ko hairānī meñ rakkhā hai
ġhazal kahne kā mausam 'qāsmī' ab ho gayā ruḳhsat
sukūn-e-qalb to us kī sanā-ḳhvānī meñ rakkhā hai
mohazzab shahr ke lambe safar se luuT aayā huuñ
salīqa zindagī kā ghar kī vīrānī meñ rakkhā hai
Top Urdushayar.com