vo kyuuñ na rūThtā maiñ ne bhī to ḳhatā kī thī
bahut ḳhayāl rakhā thā bahut vafā kī thī
sunā hai in dinoñ ham-rañg haiñ bahār aur aag
ye aag phuul ho maiñ ne bahut duā kī thī
nahīñ thā qurb meñ bhī kuchh magar ye dil mirā dil
mujhe na chhoḌ bahut maiñ na iltijā kī thī
safar meñ kashmakash-e-marg-o-zīst ke daurān
na jaane kis ne mujhe zindagī atā kī thī
samajh sakā na koī bhī mirī zarūrat ko
ye aur baat ki ik ḳhalq ishtirākī thī
ye ibtidā thī ki maiñ ne use pukārā thā
vo aa gayā thā 'zafar' us ne intihā kī thī