Aziz Badayuni

aarzu-e-dil-e-nakaam se Dar lagta hai

Aziz Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1929
ārzū-e-dil-e-nākām se Dar lagtā hai
zindagānī tire paiġhām se Dar lagtā hai
phir kisī jazba-e-gum-nām se Dar lagtā hai
husn-e-ma.asūm pe ilzām se Dar lagtā hai
shīsha-e-dil pe koī Thes na lagne paa.e
talḳhi-e-mai se nahīñ jaam se Dar lagtā hai
jis ko āġhāz-e-mohabbat kā nahīñ hai ehsās
bas use ishq ke anjām se Dar lagtā hai
vaqt ke saath badal jaatī haiñ qadreñ hamdam
rāh-e-pur-ḳhār meñ ārām se Dar lagtā hai
jis ne tūfān-e-balā-ḳhez kā muñh toḌ diyā
kyuuñ use gardish-e-ayyām se Dar lagtā hai
dekh kar qasr-e-tamannā kī tabāhī shāyad
gulshan-e-dil ke dar-o-bām se Dar lagtā hai
mehr-e-tābāñ kī qasam gesū-e-jānāñ kī qasam
sub.h-e-nau tujh se nahīñ shaam se Dar lagtā hai
sirf allāh se Dartī hai 'azīz'-e-ḳhasta
kyā use talḳhī-e-ayyām se Dar lagtā hai
Top Urdushayar.com