Shamim Qasmi

kisi train ke niche wo kaT gaya hota

Shamim Qasmi

Bihar, India

1954
kisī train ke nīche vo kaT gayā hotā
ġhubār-e-rāh-e-tilismāt chhaT gayā hotā
chalo ye achchhā ki chandan badan se duur rahe
maiñ saañp ban ke kamar se lipaT gayā hotā
kisī ke hijr meñ itnī ghuTan se behtar thā
havā meñ sūrat-e-ġhubāra phaT gayā hotā
huā ki Dher sī ashiyā se bhar gayā dāman
ai kaash zarra-e-nekī bhī aT gayā hotā
zabān aatī to uslūb koī gaḌ.h letā
use paTānā nahīñ thā vo paT gayā hotā
Top Urdushayar.com