Shamim Qasmi

faza-e-nam mein sadaon ka shor ho jae

Shamim Qasmi

Bihar, India

1954
fazā-e-nam meñ sadāoñ kā shor ho jaa.e
vo muskurā de zarā sā to bhor ho jaa.e
kabhī jo utrūñ maiñ raqs-e-suḳhan ke sahrā meñ
to apnā haal bhī mānind-e-mor ho jaa.e
vo mai-kade se bhī nikle to pāk-bāz rahe
maiñ us kī āñkhoñ se pī luuñ to shor ho jaa.e
nazar meñ phuul ho kāġhaz pe ek sahrā ho
to yuuñ ġhazal kā koī or-chhor ho jaa.e
jo fe.al-e-asl ko maiñ nazm karne baiThūñ to
badan se lahr uThe por por ho jaa.e
har ek raat vahī Dish ho zā.iqa bhī vahī
to phir mizāj-e-tarah-dār bor ho jaa.e
ye shāmiyāna suḳhan kā qarār-e-jāñ Thahrā
yahāñ qayām kare jo paTor ho jaa.e
murāqiba meñ koī aage chham se itrā.e
to phir faqīr ke dil meñ bhī chor ho jaa.e
magar ye dil ki kisī aur kā nahīñ rakhtā
dimāġh kahtā hai tū merī aur ho jaa.e
vo ik badan ki jo sar-chashma-e-tasavvur ho
to pā-barahna safar meñ bhī zor ho jaa.e
jo sun le 'qāsmī' terī ġhazal to patthar bhī
majāl hai ki vo itnā kaThor ho jaa.e
Top Urdushayar.com