ye aur baat ki gamle meñ ug rahā huuñ maiñ
zabān bhuul na paa.e vo zā.iqa huuñ maiñ
añdherī shab meñ harārat badan kī raushan rakh
vahī karūñgā ishāra jo kar rahā huuñ maiñ
suḳhan safar meñ badan us ne khol rakkhe haiñ
zarā sā sāya-e-dīvār chāhtā huuñ maiñ
maiñ chāhtā huuñ kahūñ ek nak-chaḌhī sī ġhazal
agarche halqa-e-yārāñ meñ nak-chaḌhā huuñ maiñ
mujhe qarīb se dekho mujhe paḌho samjho
na.e safar na.e mausam kā qāfila huuñ maiñ