Aziz Badayuni

uTho rida-e-raunat ko tar tar karen

Aziz Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1929
uTho ridā-e-ra.ūnat ko taar taar kareñ
ḳhudā ke naam pe insāniyat se pyaar kareñ
chalo chaman meñ charāġhāñ ba-sad vaqār kareñ
baḌho hayāt ke dāman ko lāla-zār kareñ
na.ī fazā.eñ na.ī nik.hateñ na.ī rāheñ
gul-e-murād se dāman ko mushk-bār kareñ
bhaTak na jaa.e ye insān aaj rāhoñ meñ
nishān-e-manzil-e-maqsūd ustuvār kareñ
ufuq ke paar jo mauj-e-shamīm bikhrī hai
usī se ġhuncha-e-ḳhātir ko mushk-bār kareñ
falak pe aaj sitāroñ ko DhūñDne vaale
mirī nazar ke sitāroñ kā kuchh shumār kareñ
'azīz' aaj ġham-e-dil kī dāstāñ kah kar
vo chāhte haiñ zamāne ko sogvār kareñ
Top Urdushayar.com